Monday, 4 October 2010

udaasiyon se daaman chhudaane na diya
tere gham ne mujhko muskuraane na diya

soz-e-gham ke dariya mein mujhko duboo gaye
maine jinko ek aansu bhi bahaane na diya

bohot maine chaha ke ab tu yaad na aaye
phoolon ne teri soorat ko bhulaane na diya

karta raha main aandhiyon se kashamakash
hawaa ne mujhko aashiyaan banaane na diya

kashti to maine daal di dariya-e-ishq mein
toofano ne dariya ke paar jaane na diya

jab bhi hont kholey , hitchkiyaan hi aayin
ashqon ne mujhko haal bhi sunaane na diya

itni tassalli to hai "hum" ko aye sanam
ke mohabbat ko isne sar jhukaane na diya....

No comments: